Saturday, November 23, 2013

Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten – Faiz Ahmed Faiz



Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbaten
jo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvaten
chalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar mein
ye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbaten
meri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment