Monday, November 25, 2013

Apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona – Nisar Tareen Jazib



apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar jina
hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona
tere divane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona
log pad lete hain chehare pe likhi tahariren
itna dushvar hai logon se chupa kar rona


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nisar Tareen Jazib



No comments:

Post a Comment