Ye aish-o-tarab ke matavale bekar ke baten karte hain
payal ke gamon ka ilm nahi jhankar ke baten karte hain
nahak hai havas ke bandon ko nazzara-e-fitarat ka dawa
aankhon mein nahi hai betabi didar ke baten karte hain
kahate hain unhin ko dushman-e-dil naam unhin ka naseh bhi
wo log jo reh kar sahil par majhadhar ke baten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahi kuch naz-e-safar
chalne ka jinhen maqadur nahi raftar ke baten karte hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
No comments:
Post a Comment