Sunday, January 6, 2013

Siyahiyon ke bane harf harf dhote hain – Bashir Badr



Siyahiyon ke bane harf harf dhote hain
ye log raat mein kagaz kahan bhigote hain
kisi ke shah mein dahaliz par diya na rakho
kivad sukhi hui lakadiyon ke hote hain
charag pani mein maujon se puchate honge
wo kon log hain jo kashtiyan dubote hain
qadim qasbon mein kya sukun hota hai
thake thakaye hamare buzurg sote hain
chamakati hai kaheen sadiyon mein aansuon ke zamin
gazal ke sher kahan roz roz hote hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment