Kuch Samaa Madhosh Tha , Aur Hawa Me Josh Tha
Fiza Me Mogre Ki Khushbu Bikhari
Aankhon Ki Guftagun Kuchh Aur Nikhari
Pyaar Ka Faila Tha Jaadu ,Tumko Paane Ki Justzoo
Saath Ke Ehasaas Ki Siharan, Kampata Hua Ye Badan
Jaane Aankhen Kyu Band Thi, Saanese Bhi Kuchh Mand Thi
Tere Badan Ki Garmi Se ,Meri Man Mai Pighlan Thi
Kaan Mai Tum Kaho Kuch Gun Gunakar,
Umangon Ki Jaga Do Fir Se Ek Lahar
Wo Surilee Taan Aao Chhere Aaj Fir Hum
Aaj Fir Gaaye Nayi Taal Par Mera Man
Jaise Bhanware Ne Kaha Hai Phoolo Se
Saawan Ne Kaha Hai Jhulon Se
Dharkanon Se Dharkano Ka Sangam Ho Jab
Payalon Ki Chham Chham Baj Rahi Ho Tab
Sapano Ka Wo Aashiyana Banaye Hum
Koi Phool Na Murjhaye Wo Gulistan Sajaye N Hum
Pyaar Ki Wadiyon Me Haath Thaame Tumhara
Kal Raat Maine Har Ek Pal Is Khuwab Me Gujara
Bus Yahi Sapna Hai Ye Khuwab Mera Poora Ho
Koi Ek Pal Na Aaye Zindgi Me Jo Adhura Ho
Kuchh Is Tarah Gujar Jaye Pyar Ka Safar
Ek Duje Mai Khoye Rahe N Din Bhar Raat Bhar
Tum Jaan Lo Mujhe Na Rahe Koi Rahshya
Hai Khwahish ,Aisa Ho Pyaar Ka Bhavishya
No comments:
Post a Comment