Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin ke bure hum hain dosto
kis ko hamare hal se nisbat hai kya karen
aankhen to dushmanon ke bhi purnam hain dosto
apne siva hamare na hone ka gham kise
apni talash mein to hum hi hum hain dosto
kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar ke chirag bhi maddham hain dosto
is shahar-e-arazu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ke raunaqen bhi koi dam hain dosto
sab kuch sahi ‘faraz’ par itna zarur hai
duniya mein aise log bahut kam hain dosto
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment