Sunday, October 28, 2012

Kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun – Ahmed Nadeem Qasmi



kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun
wo bhi kya din the ke har vaham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun
dil jo tuta to kai hath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samajhun
zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samajhun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Nadeem Qasmi



No comments:

Post a Comment