Thursday, October 18, 2012

Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekha – Afzal Minhas



Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekha
hum ko logon ne bulaya hamen chu kar dekha


jab bhi chaha hai ki malabus-e-vafa ko chu lain
misl khushbu koi udata hua paikar dekha


wo barsat mein bhiga to nigahen utthin
yon laga hai koi tarsha hua pathar dekha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhi na tha
is ke ataraf mein sholon ka samandar dekha


aa gai gham ke hawa phir tere gesu chukar
hum ne virana-e-dil phir se mu’attar dekha


wo jo udati hai sada dasht-e-vafa mein “afzal”
usi matti mein nihan dard ka gohar dekha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Afzal Minhas



No comments:

Post a Comment