Wednesday, February 29, 2012

Sata sata ke hamen ashkbar karati hai – Wafa Roomani



Sata sata ke hamen ashkbar karati hai
tumhari yaad bahut beqarar karati hai


wo din jo sath guzri the pyar ke hum ne
talash un ko nazar bar bar karati hai
gila nahi jo nasibon ne kar diya hai juda
teri judai bhi ab hum ko pyar karati hai


kinare baith ke jis ke kiye the qaul-o-qarar
nadi wo ab bhi tera intazar karati hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wafa Roomani



No comments:

Post a Comment