Tuesday, February 28, 2012

Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye – Bashir Badr



khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye
qabr ke sukhe huye phul utha kar le jaye
muntazir phul mein khushbu ke tarah hun kab se
koi jhonken ke tarah aaye uda kar le jaye
ye bhi pani hai magar aankhon ka aisa pani
jo hatheli pe rachi mehandi uda kar le jaye
main mohabbat se mahakata hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitabon mein daba kar le jaye
khak insaf hai nabina buton ke aage
raat thali mein chiragon ko saja kar le jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr



No comments:

Post a Comment