Wednesday, February 15, 2012

Hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain – Pirzada Qasim



hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
saya-e-vasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apne khilaf faisala khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
waqt ne aarzoo ke lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahi
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dayaravar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dasht ke sari raunaqen khair se ghar mein hain to q
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Pirzada Qasim




No comments:

Post a Comment