Friday, January 6, 2012

Sham ko subah-e-chaman yaad aayi – Ahmed Nadeem Qasmi



Sham ko subah-e-chaman yaad aayi
kis ke khushbu-e-badan yaad aayi
jab khayalon mein koi mod aaya
tere gesu ke shikan yaad aayi
yaad aaye tere paikar ke khatoot
apni kotahi-e-fan yaad aayi
chand jab dur ufaq par duba
tere lahaje ke thakan yaad aayi
din shuaon se ulajhate guzra
raat aayi to kiran yaad aayi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi



No comments:

Post a Comment