Wednesday, August 3, 2011

Phoolon ke tahaniyon pe nasheman banayiye – Abdul Hameed Adam



Phoolon ke tahaniyon pe nasheman banayiye
bijli gire to jashn-e-charagan manayiye
kaliyon ke ang ang mein mitha sa dard hai
bimar nikahaton ko zara gudgudayiye
kab se sulag rahi hai javani ke garm raat
zulfen bikher kar mere pehlu mein aayiye
bahaki hui siyah ghataon ke sath sath
jee chahata hai sham-e-abad tak to jayiye
sun kar jise havas mein thandak si aa base
aisi koi udas kahani sunayiye
raste pe har qadam pe kharabat hain “adam”
ye hal ho to kis tarah daman bachayiye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam



No comments:

Post a Comment