Thursday, August 11, 2011

Daastaan Ishq



Bhool Chuka Hoon Apni Daastaan Zara Phir Se Kehna
Aai Kis Tarah Gulshan Mein Khizan Zara Phir Se Kehna


Sirnigoon Hona Wo Ghunchon Ka Ab Tak Yaad Hy
Kiya Qissa Tha Khoonchikan Zara Phir Se Kehna


Qadam Kabhi Iss Tarah Dagmagaae To Na Thay Kabhi
Simat Kiyun Raha Hy Jahan Zara Phir Se Kehna
Dil Jo Dharakta Tha Mari Yaad K Saayon Talay
Huwa Kaisay Jazbon Se Anjaan Zara Phir Se Kehna


Yoon To Her Sham Ko Pegham-E Subah Diya Tu Ne
Taareek Sa Kiyun Lagta Hy Samaan Zara Phir Se Kehna


Taqdeer Ki Laghzish Thi K Nafas Parasti Ka Janoon
Ajnabi Sa Tha Andaz-E Biyaan Zara Phir Se Kehna


Taray Labon Pe Machalti Hui Khamosh Si Junmbish
Kiyun Na Kahaun Lafzon Ka Ziyan Zara Phir Se Kehna


Muskrahaton Mein Jhalaktay Huway Ashak Kiy Maani
Koi To Ho Ga Iss Mein Raaz Pinhaan Zara Phir Se Kehna


Zindagi Ki Veeran Raahon Mein Aaey Gi Bahar
Kiya Tera Bhi Hy Ye Emaan Zara Phir Se Kehna


Armaanon Ki Chita Jalanay Se Kiya Haasil Zaidi
Huwa Hy Aub Ye Raaz Nihaan Zara Phir Se Kehna..



No comments:

Post a Comment