Monday, February 28, 2011

Ye mujh se puchiye kya justaju mein lazzat hai – Asghar Gondvi



Ye mujh se puchiye kya justaju mein lazzat hai
faza-e-dahar mein tahalil ho gaya hun main


hatake shisha-o-sagar hujum-e-masti mein
tamam arsa-e-alam pe cha gaya hun main


uda hun jab to falak pe liya hai dam ja kar
zamin ko tod gaya hun jo reh gaya hun main


rahi hai khak ke zarron mein bhi chamak meri
kabhi kabhi to sitaron mein mil gaya hun main
sama gaye meri nazron mein cha gaye dil par
khayal karta hun un ko ki dekhata hun main



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Asghar Gondvi



No comments:

Post a Comment