Wednesday, February 23, 2011

shaadi mubarak shayari



Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai,
Dard-E-Dil Ki Inteha Maloom Hai,
Zindagi Bhar Muskrane Ki Dua Na Dena,
Mujhe Pal Bhar Muskrane Ki Saza Maloom Hai




Qeqahay Qehqahay
Roshni Roshi
Nazer Ki Zuban Mien Thee Chashni
Saray Aaina Bhi
Pasay Aaina Bhi
Aagehi Thee Ya Khud Aagehi


Qehqishan Qehqishan
Jugnoon Say Bani
Jhilmilati Rida….
Khushi Si Khushi Thee
Nasha Sa Nasha
Wohi Bankpun Tha
Wohi Thee Aada


Wohi Hath Thay
Makhmali Makhmali
Sandliy Sandliy
Mager Un Pay Ub Thee
Bari Kham Si
Kisi Aur Nam Ki
Bilbilati Hina…
Jeet K Jub Chali Zindagi Samnay
Raakh Ka Dheir Thee Zindagi Samnay



Momin Ki Talwaar Naara Haydar Ka
Maar Malanga Maar Nara Haydar Ka


Aag Lagaake Baatil Ko Tarpaata Hai
Haal Dilon Ka Chehron Par Le Aata Hai
Aysa Hai Sarkaar Naara Haydar Ka


Isne Hamaare Dil Ke Andhere Chhaat Diye
Ghaddaaron Ke Seenon Mein Dil Kaat Diye
Do Dhaari Talwaar Naara Haydar Ka


Ek Yehi Qissa Hai Qissa Khaanon Mein
Din Ki Kashti Jab Bhi Ghiri Toofanon Mein
Kar Gaya Beraa Paar Naara Haydar Ka


Dozakh Mein Pahuncha Deta Hai Baatil Ko
Tukre Tukre Kar Deta Hai Ye Dil Ko
Jab Karta Hai Waar Naara Haydar Ka


Naade Ali Behtar Hai Sab Payghaamon Se
Naam-E-Ali Hai Aala Saare Naamon Se
Naaron Ka Sardaar Naara Haydar Ka


Jab Bhi Parhaa Hai Waqt Koi Mushkil Gauhar
Kehte Hain Sab Wali Nabi-o-Payghambar
Kaam Aaya Har Baar Nara Haydar Ka



Share with us more shaadi mubarak shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment