Friday, April 2, 2010

Aansu bahatay hain

Tumhari yaad aati hay to hum ansu bahatay hain,


Guzaray thay kabhi jo sath din wo yaad aatay hain,


Isi umeed pe hum ne khula rakha hay darwaza,


Suna hay shaam hotay he bichray lot aatay hain,


Haqarat say na dekho ay ehl-e-saahil toofan ko,


Kabhi aesa bhi hota ha kinaray doob jatay hain,


Kisi say kya gila karna ye dastoor hay zamanay ka,


Naye jab dost miltay hain puranay bhool jatay hain.

No comments:

Post a Comment