Tuesday, April 27, 2010

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai – Sahir Ludhianvi



Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
ke zindagi teri zulfon ke narm chaon mein
guzarne pati to shadab ho bhi sakati thi
ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai
teri nazar ke shuaon mein kho bhi sakati thi
ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
tere jamal ke ranaiyon mein kho rehta
tera gudaz badan teri nim-bar aankhen
inhin hasin fasanon mein maho rehta
pukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ke
tere labon se halawat ke ghunt pi leta
hayat chikhati phirati barahana-sar, aur main
ghaneri zulfon ke saye mein chup ke jee leta
magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
ke tu nahin, tera gam, teri justaju bhi nahi
guzar rahi hai kuch is tarah zindahi jaise
ise kisi ke sahare ke aarzoo bhi nahi
zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale
guzar raha hun kuch anjani guzargahon se
muhib saye meri simt badate aate hain
hayat-o-maut ke purhaul kharazaron se
na koi jada na manzil na roshani ka surag
bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
inhin khalaon mein reh jaunga kabhi khokar
main janata hun meri ham-nafas magar yun hi
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment