Saturday, April 17, 2010

paon ke zakhm hain farsh-e-gul-e-tar hone tak -Himayat Ali Shayar



paon ke zakhm hain farsh-e-gul-e-tar hone tak
reh dushvar hai aagaz-e-safar hone tak
ye alag baat ke khamosh hain ahal-e-zindan
warna ye qaid hai divar mein dar hone tak
ek nazar naqsh-e-kaf-e-pa ka hunar to dekho
kahkashan si nazar aati hai sahar hone tak
haye wo bij jo matti mein daba rehta hai
kin marahil se guzarata hai shajar hone tak
kya khabar tum ko ki ye saqf ye divar hain kya
hum pe kya guzri hai is chaon ke ghar hone tak


Poet of the poem  / Ghazal or Nazam :Himayat Ali Shayar



No comments:

Post a Comment