Sunday, January 31, 2010

Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi – Bashir Badr



Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahi
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar
bheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahi
ik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der tak
aankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahi
do char din ke baat hai dil khak mein so jayega
jab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahi
ahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahan
khamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment