Sunday, January 17, 2010

Manzar bhopali shayari



badalate vaqt kaa ik  sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai


tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai


terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai


damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup
thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai


vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai


tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai


nikal ke dekho kabhii nafaraton ke pinjare se
tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai



badalatay waqt kaa ik sil_silaa sa lagata hai
ke jab bhi dekho use doosara-sa lagata hai


tumhaara husn kisi aadami ka husn nahin
kisi buzurg ki sachchi dua sa lagata hai


teri nigaah ko tameez rang-o-noor kahaan
mujhe to Khoon bhi rang-e-hina sa lagata hai


damagh-o-dil hon agar mutma_een to chhaon hai dhoop
thapera loo ka bhi thandi hawa sa lagata hai


wo chhatt pe aa gaya betaab ho ke aakhir
Khudaa bhi aaj shariik-e-dua sa lagataa hai


tumhara haath jo aaya hai haath men meray
ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai


nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
tamam shahar ka “Manzar” khula sa lagata hai


Share with us more Manzar bhopali shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment