Monday, January 11, 2010

Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko – Qamar Jalalabadi



Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
na jane kaise khabar ho gai zamane ko
chaman mein barq nahi chodati kisi surat
tarah tarah se banata hun aashiyane ko
suna hai gair ke mahafil mein tum na jaoge
kaho to aj saja lun garib-khane ko
dua bahar ke mangi to itane phul khile
kaheen jagah na mili mere aashiyane ko
chaman mein jana to sayyad dekh kar jana
akela chod kar aaya hun aashiyane ko
meri lahad pe patangon ka khoon hota hai
huzur shamma na laya karen jalne ko
daba ke chal diye sab qabr mein dua na salam
zara si der mein kya ho gaya zamane ko
ab aage is mein tumhara bhi naam aayega
jo hukm ho to yahin chod dun fasane ko
‘qamar’ zara bhi nahi tujh ko khauf-e-rusavai
chale ho chandani shab mein unhen manane ko


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalabadi



No comments:

Post a Comment