Wednesday, May 20, 2009

Taskin ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile – Mirza Ghalib



Taskin ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile
apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile
saqi gari ke sharm karo aj warna hum
har shab piya hi karte hain mein jis qadar mile
tujh se to kuch kalam nahin lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile
tum ko bhi hum dikhaye ke majanun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile
lazim nahi ke khijr ke hum pairavi karen
mana ke ek buzurg hamen hum safar mile
ae sakanan-e-kucha-e-dildar dekhana
tum ko kaheen jo ghalib-e-ashufta sar mile


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment