Friday, May 15, 2009

Sarfaroshi ki tamanna

Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu e qaatil mein hai
Karta nahi kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hoon main jise woh chup teri mehfilmein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Waqt aane pe bata denge tujhe aye aasman,
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layi hai sab ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar watan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Haath jin mein ho junoon kat-te nahi talvaarse,
Sar jo uth jaate hain woh jhukte nahi lalkaarse.
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola sa humaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan,
Chaahate lin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Youn khara maqtal mein qatil keh raha hai baar-baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein rokona aaj.
Door reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

No comments:

Post a Comment