Thursday, May 28, 2009

Jawan hai raat saqiya sharab la sharab la – Madan pal



jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilaye ja pilaye ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Madan pal




No comments:

Post a Comment