Zahanaton ko kahan karb se farar mila
jise nigah mili usako intazar mila
wo koi reh ka pathar ho ya hasin manzar
jahan se rasta thahara waheen mazar mila
koi pukar raha tha khuli fizaon se
nazar uthai to charo taraf hisar mila
har ek sans na jane thi justaju kisaki
har ek dayar musafir ko bedayar mila
ye shahar hai ki numaish lagi hui hai koi
jo aadmi bhi mila banake ishtahar mila
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
No comments:
Post a Comment