Friday, January 30, 2009

Dost Ki Shadi



Dost Ki Shadi Mein Hum Jaa Rahe The Us Din Tum Lag Rahi Thi
Maano Chand Utar Aaya Ho Jami Per Meri Abha Tumhi Se Thi


Chehare Per Tere Hashi Khili Thi Teri Vo Mohak Muskaan
Kerti Thi Mujhako Hairaan Aaj Bhi Mujhe Yaad Hai


Jab Tu Apane Shahar Gayi Le Ke Meri Shudh-Budh Gayi
Bana Diya Tha Mujhe Akant Ho Gaya Tha Main Shant



Duniya Bhula Baitha Tha Main Sab Kuchh Luta Baitha Tha Main
Maa Mujhase Kahati Kya Ho Gaya Hai Tujhe?


Na Khata Hai,Na Pita Hai Na Padhta Hai,Naa Hi Kuchh Kerta Hai
Tu Bimaar To Nahi? Tujhe Bukhaar To Nahi?
Maa Ka Hairaan Hona Mera Shant Hona


Beman Se Tera Jana Jaate Huye Haath Hilana
Aaj Bhi Mujhe Yaad Hai Jab Pahali Baar Tera Khat Aaya Tha
Dil Ko Kitana Bhaya Tha Pataa Nahi


Kitani Baar Maine Use Padha Tha Ek Patra Likhane Ke Liye
Kitane Patra Likh Likh Ke Faade The Us Raat


Vo Raat,Vo Bechaini Aaj Bhi Mujhe Yaad Hai
Aakhiri Baar Jab Hum Mile The Diary De Ke Tujhe


Jab Vida Ho Rahe The Tu Kitana Royiee Thi
Aankho Ko Mere Bhi Ashko Se Bhigoyi Thi Hum Gale Mile Huye The
Tu Mujhe Nahi Chhod Rahi Thi Vah Kshan


Jo Mere Jeevan Mein Tu Jod Rahi Thi
Aaj Bhi Mujhe Yaad Hai
Aaj Bhi Mujhe Yaad Hai.



No comments:

Post a Comment