Sunday, January 25, 2009

Ye mana zindagi hai char din ke – Firaq Gorakhpuri



Ye mana zindagi hai char din ke
bahut hote hain yaro char din bhi
khuda ko pa gaya waiz magar hai
zarurat aadmi ko aadmi ke
mila hun muskura ke us se har bar
magar aankhon mein bhi thi kuch nami si thi
muhabbat mein kahen kya hal dil ka
khushi hi kam aati hai na gham hi
bhari mahafil mein har ek se bachakar
teri aankhon ne mujh se baat kar li
ladakapan ke ada hai jan-leva
gazab ke chokari hai hath-bhar ke
raqib-e-gamazada ab sabr kar le
kabhi us se meri bhi dosti thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri



No comments:

Post a Comment