Friday, December 5, 2008

Har su dikhai dete hain wo jalvagar mujhe – Jigar Moradabadi



har su dikhai dete hain wo jalvagar mujhe
kya-kya fareb deti hai meri nazar mujhe
aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe
ab tum mile to kuch nahi apni khabar mujhe
dala hai bekhudi ne ajab rah par mujhe
aankhen hain aur kuch nahi aata nazar mujhe
karana hai aj hazrat-e-naseh se samana
mil jaye do ghadi ko tumhari nazar mujhe
yaksan hai husn-o-ishq ke sarmastiyon ka rang
un ke khabar unhen hai na apni khabar mujhe
main dur hun to ruh-e-sukhan mujh se kis liye
tum pas ho to kyon nahi aate nazar mujhe
dil leke mera dete ho dag-e-jigar mujhe
ye baat bhulane ke nahi umr bhar mujhe


 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



No comments:

Post a Comment