Monday, December 15, 2008

Tum jo pal ko thahar jao to ye lamhen bhi – Faiz Ahmed Faiz



Tum jo pal ko thahar jao to ye lamhen bhi
aanevale lamhon ke amanat ban jayen
tum jo thahar jao to ye rat, mahatab
ye sabza, ye gulab aur hum donon ke khwab
sab ke sab aise mubaham hon ki haqiqat ho jayen
tum thahar jao ki unavan ke tafasir ho tum
tum se talkhi-e-auqat ka mausam badle
raat to kya badalegi, halat to kya badlenge
tum jo thahar jao to meri zat ka mausam badle
maharban ho ke na thaharo to phir yun thaharo
jaise pal bhar ko koi khvab-e-tamanna thahare
jaise daravesh-e-mada-nosh ke pyale mein kabhi
ek do pal ke liye talkhi-e-duniya thahare
thahar jao ke madarat maikhane se
chalte chalte koi ek-adh subu ho jaye
is se pahale ke koi lamha aainda ka tir
is tarah aaye ke pevast-e-gulu ho jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment