Saturday, November 8, 2008

Waseem brelvi shayari




Mili Hawaaon Mein Urdhne Ki Wo Saza Yaaron,.
Ke Main Zameen Ke Rishton Se Katt Gaya Yaaron,.


Wo Bekhayal Mussfir Main Rasta Yaaron,.
Kahaan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaron,.


Ke Mere Kalaam Pe Zamaane Ki Gard Aisi Thi,.
Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaron.,


Jo Beshumaar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Tha,.
Wo Apne Bachchon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaron,.



Tumhaari raah main mitti ke ghar nahi aate
Isii liye to tumhein hum nazar nahi aate


MuhabbatoN ke dinon ki yehii kharaabi hai
Ye rooth jaayein to phir laut ker nahi aate


Jinhein saliqa hai tehziib-e-gham samajhne ka
Un’hi ke rone main aansoo nazar nahi aate


Khushi ki ankhon main ansoo ki bhi jagah rakhna
Bure zamaane kabhi pooch ker nahi aate




Mohabbat me buri neeyat se kuch socha nahi jata
Kaha jata hai usko bewafa samjha nahi jata


Jhukata hai yeh sar jiski ibadat ke liye us tak
Tera jazba to jata hai tera sajda nahi jata


Tumhare sath me koi nayapan hai to bas yeh hai
Bohat taqleef deta hai magar choda nahi jata


Share with us more Waseem brelvi shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment