Wednesday, November 19, 2008

Dil se teri nigah jigar tak utar gai – Mirza Ghalib



Dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ke saramastiyan kahan
uthiye bas ab ke lazzat-e-khvab-e-sahar gai
udati phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ae hava, havas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahavas ne husn parasti shiar ke
ab aabaru-e-sheva-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya van naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae ke hum pe qayamat guzar gai
mara zamane ne ‘asadullah khan” tumhen
wo valavale kahan, wo javani kidhar gai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment