aj mere shab-e-furqat ke sahar aayi hai
muddaton bad teri rahaguzar aayi hai
dekh to lijiye mere khun-e-tamanna ki bahar
jis ke surkhi meri aankhon mai utar aayi hai
tune to tark-e-muhabbat ke qasam khai thi
kyon teri aankh mujhe dekh ke bhar aayi hai
un ke pairahan-e-rangin ke mahak hai is mai
aj kya bad-e-saba hoek udhar aayi hai
is mai kuch un ke jafayen bhi to shamil hain ‘shamim’
bevafai ke jo tohamat mere sar aayi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri
No comments:
Post a Comment