Friday, June 6, 2008

Ye barhami ki naz-e-iltifat ke bad – Shamim Jaipuri



Ye barhami ki naz-e-iltifat ke bad
hum ko maut ka paigam hai hayat ke bad
ye kufr-o-din ka fasana ye zikr-e-dair-o-haram
aziz hai magar un ke tuvajjihat ke bad
??? pe ashk-e-alam dil mein pas-e-zabt-e-fugan
jo hum hanse to bhi kitne takallufat ke bad
ab aur hadase kya pesh aayenge ae dil
hamari un ke muhabbat ke hadasat ke bad
hum ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasib kahan
yahan to raat hi aayi hamesha raat ke bad
kabhi karam hi karam tha aur ab sitam bhi nahi
tagaful aur phir itni tavajjuhat ke bad
bajuz tere koi mauzu-e-zindagi hi nahi
ajeeb hal hai tark-e-ta’alluqat ke bad
agar ho sidq to aasaniyan bhi hoti hain
‘shamim’ rah-e-muhabbat ke mushkilat ke bad


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



No comments:

Post a Comment