Friday, June 20, 2008

Wafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja – Ahmed Faraz



wafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja
agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja
maqam-e-sud-o-ziyan aa gaya hai phir janan
ye zakhm mere sahi tir to utha le ja
yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera
ki bund bund ata kar ghata ghata le ja
gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho
phir uth ke samane daman-e-iltaja le ja
nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai
‘faraz’ jan ke evaz aabaru bacha le ja


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment