Tuesday, June 10, 2008

Meri Jaan-E-Jigar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai



Meri Jaan-E-Jigar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Meri Laqt-E-Jigar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Jiske Deedar Ki Hasrat Mein Mai Kabse Tha Bechain
Woh Shaam-O-Sahar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Jis Raah Par Chalne Ki Sadiyon Se Thi Aarzoo-Ein
Aisi Hi Raah-Guzar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Log Milte Hai Bichad Jaate Hai Zindagi Ki Raahon Par
Zaar-E-Humsafar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Kya Chand? Kya Suraj? Kya Taaron Ki Kashish?
Kehkashaan-Aftaab-O-Qamar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai
Sadaa Arsh Par Pahunch Gayi, Abh Khudko Kyon Tanha Kahoon?
Meri Duaon Ka Asar, Ab Meri Nazar Ke Saamne Hai



No comments:

Post a Comment