Monday, December 24, 2007

Mariz-e-muhabbat unhin ka fasana – Qamar Jalalwi



mariz-e-muhabbat unhin ka fasana
sunata raha dam nikalate nikalate
magar zikr-e-sham-e-alam jab bhi aaya
chirag-e-sahar bujh gaya jalate jalate
irada tha tark-e-muhabbat ka lekin
fareb-e-tabassum mein phir aa gaye hum
abhi khake thokar sambhalane na paye
ki phir khai thokar sambhalate sambhalate
unhen khat mein likha tha dil muztarib hai
javab un ka aaya muhabbat na karte
tumhen dil lagane ko kis ne kaha tha
bahal jayega dil bahalate bahalate
wo mehaman rahe bhi to kab tak hamare
hui shamma gul aur dube sitare
“qamar” is qadar un ko jaldi thi ghar ke
wo ghar chal diye chandani dhalate dhalate


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalwi




No comments:

Post a Comment