Friday, December 28, 2007

Is rah-e-muhabbat mein tu sath agar hota – Alam Tab ‘Tashna’



Is rah-e-muhabbat mein tu sath agar hota
har gham pe gul khilate khushbu ka safar hota
uthta mere pehlu se wo mehr-e-shanasai
ik roz to aisa bhi aagaz-e-sahar hota
ashk-e-sar-e-mizshgan ko chun leta wo palkon se
ik roz to aisa bhi dida-e-tar hota
ye tark-e-ta’alluq ke sun lete nasihat bhi
“tashna” jo koi us ka mahabub-e-nazar hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Alam Tab ‘Tashna’



No comments:

Post a Comment