Tuesday, January 16, 2007

Hadase kya kya tumhari berukhi se ho gaye – Sagar Nizami



hadase kya kya tumhari berukhi se ho gaye
sari duniya ki liye hum ajanabi se ho gaye
gardish-e-dauran, zamane ki nazar, aankhon ki neend
kitne dushman ek rasm-e-dosti se ho gaye
kuch tumhari gesuon ki barahami ne kar diya
kuch andhere mere ghar mein roshni se ho gaye
yun to hum aagah the saiyad ki tadbir se
hum asir-e-dam-e-gul apni khudi se ho gaye


har qadam “sagar” nazar aane lagi hain manzilen
marhale tay meri kuch aavaragi se ho gaye


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Nizami



No comments:

Post a Comment