Wednesday, January 31, 2007

Kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera – Athar Nafees



Kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
hota rehta hai yun hi qarz barabar mera
toot jate hain kabhi mere kinare mujh mein
dub jata hai kabhi mujh mein samandar mera
kisi sahara mein bichad jayenge sab yar mere
kisi jangal mein bhatak jayega lashkar mera
bavafa tha to mujhe puchane wale bhi na the
bevafa hun to hua naam bhi ghar ghar mera
kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhup ne kumhala diya manzar mera
aakhiri jur’a-e-purkaif ho shayad baqi
ab jo chalaka to chalak jayega sagar mera


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees



No comments:

Post a Comment