Sunday, November 19, 2006

Hum ko dushman ke nigahon se na dekha kije – Rais Akhtar



hum ko dushman ke nigahon se na dekha kije
pyar hi pyar hain hum hum pe bharosa kije
chand yadon ke siva hath na kuch aayega
is tarah umr-e-gurezan ka na picha kije
roshni auron ke aangan mein gavara na sahi
kam se kam apne hi ghar mein to ujala kije
kya khabar kab wo chale aayenge milane ke liye
roz palkon pe nai shamaen jalaya kije


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Rais Akhtar



No comments:

Post a Comment