Saturday, November 25, 2006

Duri ke gham kuch aur siva ho ke rah gaye – Khumar Barabankvi



Duri ke gham kuch aur siva ho ke rah gaye
hum un se kya mile ke juda ho ke rah gaye
khoye hue the der se wo meri yaad mein
mujh par nazar padi to khafa ho ke rah gaye
phir doston ko main ne pai mashq de diye
jo tir mujh tak aaye khata ho ke rah gaye
majabur ho ke mangi thi lutf-o-karam ke bhik
lutf-o-karam bhi jor-o-jafa ho ke rah gaye
ab kya raha tere liye ae ishq namurad
ab wo bhi mubtila-e-vafa ho ke rah gaye
ALLAH aaina to kabhi dekh lo ‘khumar’
tum kya the aur ishq mein kya ho ke rah gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



No comments:

Post a Comment