Wednesday, November 22, 2006

Hamen koi gham nahi tha gam-e-ashiqi se pahale – Faiyaz Hashmi



hamen koi gham nahi tha gam-e-ashiqi se pahale
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahale
hai ye meri badanasibi tera kya qasur is mein
tere gham ne mar dala mujhe zindagi se pahale
mera pyar jal raha hai ae chand aj chup ja
kabhi pyar tha hamen bhi teri chandni se pahale
main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
ki hazaron gham milenge mujhe ik khushi se pahale
ye ajeeb imtehan hai ki tumhi ko bhulana hai
mile kab the is tarah hum tumhen bedili se pahale



 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiyaz Hashmi



No comments:

Post a Comment