khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Iftikhar Arif
No comments:
Post a Comment