Monday, April 11, 2016

Jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-khush mein sama gaye – Mjad Islam Amjad



jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-khush mein sama gaye
wohi jalate bujhate se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye
ye ajeeb khel hai ishq ka main ne aap dekha ye mojeza
wo jo lafz mere guman mein the wo teri zuban par aa gaye
wo jo geet tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ke thi dastan jise tum hansi mein uda gaye
wo charag-e-jan kabhi jis ke lau na kisi hawa se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye
wo tha chand sham-e-visal ka ke tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye
ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai wo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur mein aa gaye
teri berukhi ke dayar mein main hawa ke sath hawa hua
tere aaine ke talash mein mere khwab chehara ganva gaye
tere vasavaon ke fishar mein tera sharar-e-rang ujad gaya
meri khvahishon ke gubar mein mere mah-o-sal-e-vafa gaye
wo ajeeb phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab mein dur tak koi bag jaise laga gaye
meri umr se na simat sake mere dil mein itane saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah mein aa gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Amjad Islam Amjad



No comments:

Post a Comment