Na jane aj ye kis ka khayal aaya hai
khushi ka rang liye har malal aaya hai
wo ek shakhs ki hasil na tha jo khud ko bhi
mita kisi pe to kaisa bahal aaya hai
zuban pe harf-e-talab bhi nahi koi phir bhi
nigah-e-dost mein rang-e-jalal aaya hai
kiya na zikr bhi jis ka tamam umr kabhi
hamare kam bahut wo malal aaya hai
nahi hai tum se koi dosti bhi ab to magar
qadam qadam pe ye kaisa vabal aaya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmad Hamdani
No comments:
Post a Comment