Saturday, September 22, 2012

Us ne kaha sun-Ahmed Faraz



us ne kaha sun
ahad nibhane ke khatir mat aana
ahad nibhanevale aksar majboori ya
mahajuri ke thakan se lauta karte hain
tum jao aur dariya dariya pyas bujhao
jin aankhon mein dubo
jis dil mein bhi utaro
meri talab aavaz na degi
lekin jab meri chahat aur meri khvahish ke lau
itni tez aur itni unchi ho jaye
jab dil rode
tab laut aana


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment