Wednesday, September 19, 2012

Hal-e-dil main ne jo duniya ko sunana chaha – Karrar Noori



hal-e-dil main ne jo duniya ko sunana chaha
mujh ko har shakhs ne dil apana dikhana chaha
apni tasvir banane ki liye duniya mein
main ne har rang pe ik rang chadhana chaha
khak-e-dil jauhar-e-aina ki kam aa hi gai
lakh duniya ne nigahon se girna chaha
shola-e-barq se gulashan ko bachane ki liye
main ne har aag ko sine mein chupana chaha
apne aibon ko chupane ki liye duniya mein
main ne har shakhs pe ilzam lagana chaha
gairat-e-mauj use phenk gai sahil par
dubne wale ne jab shor machana chaha


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Karrar Noori



No comments:

Post a Comment