Wednesday, September 21, 2011

Shayeri hanste zakham



riste hue zakhm kisko dikhane nikle
haath me namak liye malham lagane nikle


baroodi surangon se uda do chuppi
ajnabi kaise tere gam se begane nikle


hum se bedari ka sabab poochne wale
aankhon se meri neend churane nikale


sangshari ka ajab shouq wahan ya rabba
unke har nishane pe meri sou jaanen nikle


meri taqdeer ke sooraj ko jagane wale
kam se kam jugnoo se to behtar nikale




Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai


Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai


Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga


Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga



Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani Haste Haste Phir Rona Hi Hoga




Share with us more Shayeri hanste zakham in Comments Section below



No comments:

Post a Comment