Tuesday, September 13, 2011

Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota – Wasim Barelvi



Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota
hamare daur mein aansu zuban nahi hota
jahan rahega waheen roshni lutayega
kisi charag ka apna makan nahi hota
ye kis maqam pe lai hai meri tanahai
ke mujh se aj koi badguman nahi hota
main us ko bhool gaya hun ye kon manega
kisi charag ke bas mein dhuan nahi hota
‘wasim’ sadiyon ke aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hun jo kabhi dastan nahi hota



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wasim Barelvi



No comments:

Post a Comment